chhupaya koi bhi gham to chhalak gain aankhen
chhupāyā koī bhī ġham to chhalak ga.iiñ āñkheñ
ye dil to hai mire bas meñ magar nahīñ āñkheñ
maiñ us ko jaate hue dekhtī rahī kuchh der
phir ik maqām pe mujh se bichhaḌ ga.iiñ āñkheñ
saje hī rahte haiñ palkoñ pe kāñch ke motī
tumhāre ġham ne banā diiñ bahut hasīñ āñkheñ
isī umiid pe raqsāñ hai ye badan kab se
kabhī to dekh leñ mujh ko vo dil-nashīñ āñkheñ
chhupaya koi bhi gham to chhalak gain aankhen
ye dil to hai mere bas mein magar nahin aankhen
main us ko jate hue dekhti rahi kuchh der
phir ek maqam pe mujh se bichhaD gain aankhen
saje hi rahte hain palkon pe kanch ke moti
tumhaare gham ne bana din bahut hasin aankhen
isi umid pe raqsan hai ye badan kab se
kabhi to dekh len mujh ko wo dil-nashin aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.