chhupe hue hain sar-e-rah sau KHatar KHamosh
chhupe hue haiñ sar-e-rāh sau ḳhatar ḳhāmosh
chale chalo mere yārān-e-ham-safar ḳhāmosh
fazā-e-qarya tilism-e-sukūt meñ gum-sum
siyāh raat ke dāman meñ bām-o-dar ḳhāmosh
hamāre baa'd agar rustaḳhez ho bhī to kyā
bisāt-e-vaqt se ham to ga.e guzar ḳhāmosh
ba-īñ navāzish-e-mausam shaguft-e-gul pe na jā
zabān-e-hāl se goyā ba-chashm-e-tar ḳhāmosh
jo arsh-e-jāh sitāra-shikār the un ko
falak kī aañkh ne dekhā faganda-sar ḳhāmosh
har ek daur meñ gūñjī hai zarbat-e-farhād
kabhī bhī rah na sake sāhab-e-hunar ḳhāmosh
zabāñ-darāz 'ziyā.ī' ko rokiye sāhab
ye maslahat kā taqāzā hai al-hazar ḳhāmosh
chhupe hue hain sar-e-rah sau KHatar KHamosh
chale chalo mere yaran-e-ham-safar KHamosh
faza-e-qarya tilism-e-sukut mein gum-sum
siyah raat ke daman mein baam-o-dar KHamosh
hamare ba'd agar rustaKHez ho bhi to kya
bisat-e-waqt se hum to gae guzar KHamosh
ba-in nawazish-e-mausam shaguft-e-gul pe na ja
zaban-e-haal se goya ba-chashm-e-tar KHamosh
jo arsh-e-jah sitara-shikar the un ko
falak ki aankh ne dekha faganda-sar KHamosh
har ek daur mein gunji hai zarbat-e-farhad
kabhi bhi rah na sake sahab-e-hunar KHamosh
zaban-daraaz 'ziyai' ko rokiye sahab
ye maslahat ka taqaza hai al-hazar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.