chhupe hue the jo dil mein wo Dar purane the
chhupe hue the jo dil meñ vo Dar purāne the
ki rāste the na.e ham-safar purāne the
maiñ uḌ rahā thā fazā meñ ik ehtiyāt ke saath
mujhe ḳhabar thī mire bāl-o-par purāne the
tamām-shahr na.ī raushnī meñ thā malbūs
magar gharoñ ke sabhī bām-o-dar purāne the
mujhe talāsh hamesha na.e charāġhoñ kī thī
ki āsmānoñ ke shams-o-qamar purāne the
thī jin kī lau se dayār-e-suḳhan meñ tābānī
vo taaq taaq charāġh-e-hunar purāne the
chhupe hue the jo dil mein wo Dar purane the
ki raste the nae ham-safar purane the
main uD raha tha faza mein ek ehtiyat ke sath
mujhe KHabar thi mere baal-o-par purane the
tamam-shahr nai raushni mein tha malbus
magar gharon ke sabhi baam-o-dar purane the
mujhe talash hamesha nae charaghon ki thi
ki aasmanon ke shams-o-qamar purane the
thi jin ki lau se dayar-e-suKHan mein tabani
wo taq taq charagh-e-hunar purane the
- Book : Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 189)
- Author : Mohsin Ehsaan
- Publication : Aziz ahmed Khan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.