chhupi hui kahin sajdon mein sar-kashi to nahin
chhupī huī kahīñ sajdoñ meñ sar-kashī to nahīñ
ye merī rasm-e-ibādat bhī bandagī to nahīñ
baġhair vaj.h ye saaqī kī be-ruḳhī to nahīñ
maiñ sochtā huuñ kahīñ kuchh ḳhatā huī to nahīñ
maiñ mutma.in huuñ magar sirf ye batā diije
ye ġham jo aap ne baḳhshā hai aarzī to nahīñ
sabhī ke dil meñ mohabbat kī aag hotī hai
sabhī ko raas bhī aa.e ye lāzmī to nahīñ
ajal kā chehra nazar aa.e kuchh bañdhe Dhāras
rah-e-hayāt meñ itnī bhī raushnī to nahīñ
tasavvurāt meñ kuchh der kho to jaatā huuñ
magar ab in meñ bhī aglī sī dilkashī to nahīñ
chaman vahī hai bahāreñ vahī haiñ gul bhī vahī
magar guloñ meñ vo ḳhushbū vo tāzgī to nahīñ
har ek chiiz nazar aatī hai udaas udaas
kahīñ ye mere hī ehsās kī kamī to nahīñ
ye saare rañj ba-qaid-e-hayāt hī to nahīñ
hayāt merī koī umr ḳhizar kī to nahīñ
kisī pe barse koī buuñd buuñd ko tarse
ye aur jo bhī ho saaqī kī munsifī to nahīñ
kabhī jo 'nūr' koī rishta-e-vafā TuuTe
ye dekh lenā ki āñkhoñ meñ kuchh namī to nahīñ
chhupi hui kahin sajdon mein sar-kashi to nahin
ye meri rasm-e-ibaadat bhi bandagi to nahin
baghair wajh ye saqi ki be-ruKHi to nahin
main sochta hun kahin kuchh KHata hui to nahin
main mutmain hun magar sirf ye bata dije
ye gham jo aap ne baKHsha hai aarzi to nahin
sabhi ke dil mein mohabbat ki aag hoti hai
sabhi ko ras bhi aae ye lazmi to nahin
ajal ka chehra nazar aae kuchh bandhe Dhaaras
rah-e-hayat mein itni bhi raushni to nahin
tasawwuraat mein kuchh der kho to jata hun
magar ab in mein bhi agli si dilkashi to nahin
chaman wahi hai bahaaren wahi hain gul bhi wahi
magar gulon mein wo KHushbu wo tazgi to nahin
har ek chiz nazar aati hai udas udas
kahin ye mere hi ehsas ki kami to nahin
ye sare ranj ba-qaid-e-hayat hi to nahin
hayat meri koi umr KHizar ki to nahin
kisi pe barse koi bund bund ko tarse
ye aur jo bhi ho saqi ki munsifi to nahin
kabhi jo 'nur' koi rishta-e-wafa TuTe
ye dekh lena ki aankhon mein kuchh nami to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.