chhu bhi to nahin sakte hum mauj-e-saba ban kar
chhū bhī to nahīñ sakte ham mauj-e-sabā ban kar
lalchā.ī nigāhoñ se takte haiñ gulāboñ ko
sau dukh hameñ detī hai haañ tishna-labī lekin
paanī to nahīñ samjhe ham log sarāboñ ko
afsānoñ kī duniyā meñ sab jhuuT nahīñ hotā
dil aur bhī uljhegā paḌhiye na kitāboñ ko
sach hai dil-e-dīvāna ḳhvāboñ se bahaltā hai
har raat magar kaise bahlā.iye ḳhvāboñ ko
chhu bhi to nahin sakte hum mauj-e-saba ban kar
lalchai nigahon se takte hain gulabon ko
sau dukh hamein deti hai han tishna-labi lekin
pani to nahin samjhe hum log sarabon ko
afsanon ki duniya mein sab jhuT nahin hota
dil aur bhi uljhega paDhiye na kitabon ko
sach hai dil-e-diwana KHwabon se bahalta hai
har raat magar kaise bahlaiye KHwabon ko
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 526)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.