chhu lene ki sab koshishen bekar samajhna
chhū lene kī sab koshisheñ bekār samajhnā
dīvār ko bas sāya-e-dīvār samajhnā
oḌhe chalo dhūpoñ meñ kisī yaad kī chādar
gir jaao jahāñ ḳhema-e-ashjār samajhnā
bā-vasf-e-shikast-e-dil-o-jāñ laḌtā rahā huuñ
ai hārte lashkar mujhe sardār samajhnā
ik jism samajh kar jise tum TuuT paḌe ho
vo tum se lipaT jaa.e to talvār samajhnā
dīvār meñ ubhre hī chale aate haiñ chehre
is shab ko har ik shab se pur-asrār samajhnā
chhu lene ki sab koshishen bekar samajhna
diwar ko bas saya-e-diwar samajhna
oDhe chalo dhupon mein kisi yaad ki chadar
gir jao jahan KHema-e-ashjar samajhna
ba-wasf-e-shikast-e-dil-o-jaan laDta raha hun
ai haarte lashkar mujhe sardar samajhna
ek jism samajh kar jise tum TuT paDe ho
wo tum se lipaT jae to talwar samajhna
diwar mein ubhre hi chale aate hain chehre
is shab ko har ek shab se pur-asrar samajhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.