chhu liya shoala-e-ruKHsar-e-sanam dekho to
chhū liyā sho.ala-e-ruḳhsār-e-sanam dekho to
kitne nā-āqibat-andesh haiñ ham dekho to
koī shikva hai na fariyād na ġham dekho to
jaane ab kaun sī manzil pe haiñ ham dekho to
ranj-o-ālām kī jaltī huī dopahroñ meñ
tum bhī chal kar kabhī do-chār qadam dekho to
Duubī Duubī sī nazar aatī hai kyoñ nabz-e-hayāt
aaj kyā baat hai kyoñ dard hai kam dekho to
dīda-o-dil meñ liye phirte haiñ ham aag hī aag
tum ko andāz-e-taġhāful kī qasam dekho to
kyā kisī rind kā dil toḌ diyā zāhid ne
kyoñ larazne lagī dīvār-e-haram dekho to
ham se ta.amīr-e-zamāna hai hamīñ par yaaro
toḌe jaate haiñ zamāne ke sitam dekho to
un ko ehsās hai aksar merī barbādī kā
kis bulandī pe hai ab qismat-e-ġham dekho to
chhu liya shoala-e-ruKHsar-e-sanam dekho to
kitne na-aqibat-andesh hain hum dekho to
koi shikwa hai na fariyaad na gham dekho to
jaane ab kaun si manzil pe hain hum dekho to
ranj-o-alam ki jalti hui dopahron mein
tum bhi chal kar kabhi do-chaar qadam dekho to
Dubi Dubi si nazar aati hai kyon nabz-e-hayat
aaj kya baat hai kyon dard hai kam dekho to
dida-o-dil mein liye phirte hain hum aag hi aag
tum ko andaz-e-taghaful ki qasam dekho to
kya kisi rind ka dil toD diya zahid ne
kyon larazne lagi diwar-e-haram dekho to
hum se tamir-e-zamana hai hamin par yaro
toDe jate hain zamane ke sitam dekho to
un ko ehsas hai aksar meri barbaadi ka
kis bulandi pe hai ab qismat-e-gham dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.