chiKH ki or main khincha jaun
chīḳh kī or maiñ khiñchā jā.ūñ
ghup añdheroñ meñ Dūbtā jā.ūñ
kab se phirtā huuñ is tavaqqo.a par
ḳhud ko shāyad kahīñ maiñ pā jā.ūñ
ruuh tak bujh chukī hai muddat se
tū jo chhū le to jagmagā jā.ūñ
lamha lamha ye chhāñv ghaTtī hai
patta patta maiñ TūTtā jā.ūñ
dhuup pī kar tamām sahrā kī
abr ban kar maiñ ḳhud pe chhā jā.ūñ
dukh se kaisā bharā huā hai dil
us ko sochūñ to sochtā jā.ūñ
ek patta huuñ shāḳh se bichhḌā
jaane bah kar maiñ kis dishā jā.ūñ
jī meñ aatā hai chhoḌ duuñ ye zamīñ
āsmānoñ meñ jā samā jā.ūñ
chiKH ki or main khincha jaun
ghup andheron mein Dubta jaun
kab se phirta hun is tawaqqoa par
KHud ko shayad kahin main pa jaun
ruh tak bujh chuki hai muddat se
tu jo chhu le to jagmaga jaun
lamha lamha ye chhanw ghaTti hai
patta patta main TuTta jaun
dhup pi kar tamam sahra ki
abr ban kar main KHud pe chha jaun
dukh se kaisa bhara hua hai dil
us ko sochun to sochta jaun
ek patta hun shaKH se bichhDa
jaane bah kar main kis disha jaun
ji mein aata hai chhoD dun ye zamin
aasmanon mein ja sama jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.