chiKHte hain dayar raaton mein
chīḳhte haiñ dayār rātoñ meñ
le lo rāh-e-farār rātoñ meñ
roz hotā hai maqbara kamra
aur bistar mazār rātoñ meñ
dhaḌkaneñ gūñjtī haiñ siine meñ
baḌhtā hai iztirār rātoñ meñ
mere shevan pe muskurātā hai
merā parvardigār rātoñ meñ
tīrgī mere dil meñ ḳhanjar sī
ho rahī ār-pār rātoñ meñ
niiñd hai lais zer karne ko
aur maiñ hoshiyār rātoñ meñ
mere rone se sab malak mujh par
ho raheñ jāñ-nisār rātoñ meñ
bain kartī haiñ hūreñ sirhāne
mere gird-e-mazār rātoñ meñ
koī terī yahāñ nahīñ suntā
apne rab ko pukār rātoñ meñ
chiKHte hain dayar raaton mein
le lo rah-e-farar raaton mein
roz hota hai maqbara kamra
aur bistar mazar raaton mein
dhaDkanen gunjti hain sine mein
baDhta hai iztirar raaton mein
mere shewan pe muskuraata hai
mera parwardigar raaton mein
tirgi mere dil mein KHanjar si
ho rahi aar-par raaton mein
nind hai lais zer karne ko
aur main hoshiyar raaton mein
mere rone se sab malak mujh par
ho rahen jaan-nisar raaton mein
bain karti hain huren sirhane
mere gird-e-mazar raaton mein
koi teri yahan nahin sunta
apne rab ko pukar raaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.