chilman wo aasman ki takna wo baam se
chilman vo āsmān kī taknā vo baam se
ḳhemoñ se muñh nikālā sitāroñ ne shaam se
matlab hai saarī duniyā ko apne hī kaam se
aatā hai mujh ko chain tumhāre hī naam se
dil ne tumhāre husn kī dekhī hai ik jhalak
phislā tabhī to jaatā hai apne maqām se
jab se nigāh-e-yār ne chīrā hai merā dil
haTtā nahīñ hai muñh mirā saaqī ke jaam se
ik din vo aa ke pūchh le kaisā hai dil ġharīb
ik din vo teġh khīñch le apne nyaam se
chilman wo aasman ki takna wo baam se
KHemon se munh nikala sitaron ne sham se
matlab hai sari duniya ko apne hi kaam se
aata hai mujh ko chain tumhaare hi nam se
dil ne tumhaare husn ki dekhi hai ek jhalak
phisla tabhi to jata hai apne maqam se
jab se nigah-e-yar ne chira hai mera dil
haTta nahin hai munh mera saqi ke jam se
ek din wo aa ke puchh le kaisa hai dil gharib
ek din wo tegh khinch le apne nyam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.