chitra aur jagjit ka gaya hua
chitrā aur jagjīt kā gaayā huā
giit hai tū mujh pe filmāyā huā
mujh ko terī gāliyāñ achchhī lagīñ
mujh pe terī dhuup kā saaya huā
bārhā dekho use jaate hue
yaad rah jā.egā dohrāyā huā
itne ḳhālī bartanoñ ko dekh kar
abr bhī chhaT jā.egā chhāyā huā
aañkh meñ namkīn paanī hai 'ḳhayām'
haath meñ hai phuul murjhāyā huā
chitra aur jagjit ka gaya hua
git hai tu mujh pe filmaya hua
mujh ko teri galiyan achchhi lagin
mujh pe teri dhup ka saya hua
barha dekho use jate hue
yaad rah jaega dohraya hua
itne KHali bartanon ko dekh kar
abr bhi chhaT jaega chhaya hua
aankh mein namkin pani hai 'KHayam'
hath mein hai phul murjhaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.