chor darwaza yan ke hum bhi hain
chor darvāza yaañ ke ham bhī haiñ
in ko rauzan se jhāñke ham bhī haiñ
jo adam ko vajūd se haiñ ga.e
gard us kārvāñ ke ham bhī haiñ
faash parda karo na kushtoñ kā
naza.a meñ muñh ko Dhāñke ham bhī haiñ
ishq chhoTā banā chukā varna
ik baḌe ḳhāndāñ ke ham bhī haiñ
tirchhī nazroñ ko sīdhā rakheñ aap
varna ik TeḌhe bāñke ham bhī haiñ
hai zamīñ kā satāyā qais agar
zaḳhm-chīñ āsmāñ ke ham bhī haiñ
naqsh baiThā uThegā kis se 'vaqār'
sañg-bos āstāñ ke ham bhī haiñ
chor darwaza yan ke hum bhi hain
in ko rauzan se jhanke hum bhi hain
jo adam ko wajud se hain gae
gard us karwan ke hum bhi hain
fash parda karo na kushton ka
naza mein munh ko Dhanke hum bhi hain
ishq chhoTa bana chuka warna
ek baDe KHandan ke hum bhi hain
tirchhi nazron ko sidha rakhen aap
warna ek TeDhe banke hum bhi hain
hai zamin ka sataya qais agar
zaKHm-chin aasman ke hum bhi hain
naqsh baiTha uThega kis se 'waqar'
sang-bos aastan ke hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.