chori chori aankh laDte mein dikha dun to sahi
chori chori aankh laDte mein dikha dun to sahi
Mohammad Amaan Nisar
MORE BYMohammad Amaan Nisar
chorī chorī aañkh laḌte meñ dikhā duuñ to sahī
khāñs kar khañkhār kar us ko jatā duuñ to sahī
mil to dekhe ġhair se kis tarah miltā hai vo shoḳh
vo jo naqsha us ne bāñdhā hai miTā duuñ to sahī
jal-bujhe siine meñ dil lekin na nikle muñh se aah
dar muqaffal kar ke maiñ ghar ko jalā duuñ to sahī
ishq kahtā hai ki sar-rishta dil kā mere haath
juuñ patañg ik din kaTā kar maiñ luTā duuñ to sahī
saath le kar yaar ġhairoñ ko idhar aatā to hai
ai 'nisār' us se ye rastā maiñ chhuḌā duuñ to sahī
chori chori aankh laDte mein dikha dun to sahi
khans kar khankhaar kar us ko jata dun to sahi
mil to dekhe ghair se kis tarah milta hai wo shoKH
wo jo naqsha us ne bandha hai miTa dun to sahi
jal-bujhe sine mein dil lekin na nikle munh se aah
dar muqaffal kar ke main ghar ko jala dun to sahi
ishq kahta hai ki sar-rishta dil ka mere hath
jun patang ek din kaTa kar main luTa dun to sahi
sath le kar yar ghairon ko idhar aata to hai
ai 'nisar' us se ye rasta main chhuDa dun to sahi
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.