choT kha kar jo muskuraate hain
choT khā kar jo muskurāte haiñ
har balā se najāt paate haiñ
tere bande ḳhudā nahīñ bante
dūsroñ ko ḳhudā banāte haiñ
maut se jo vafā nahīñ karte
zindagī se shikast khāte haiñ
vo harīf-e-nazar kabhī na hue
aa.ine haiñ ki TuuTe jaate haiñ
ham kisī kā gilā nahīñ karte
vaqt kī aabrū baḌhāte haiñ
hādsoñ se farār kyā ma.anī
hādse zindagī banāte haiñ
ham ki apnī taraf na dekh sake
log un se nazar milāte haiñ
vaqt kī raushnī pe naaz na kar
vaqt ke ruḳh badal bhī jaate haiñ
zikr-e-ilm-o-adab na chheḌ 'anjum'
hazrat-e-'fauq' yaad aate haiñ
choT kha kar jo muskuraate hain
har bala se najat pate hain
tere bande KHuda nahin bante
dusron ko KHuda banate hain
maut se jo wafa nahin karte
zindagi se shikast khate hain
wo harif-e-nazar kabhi na hue
aaine hain ki TuTe jate hain
hum kisi ka gila nahin karte
waqt ki aabru baDhate hain
hadson se farar kya mani
hadse zindagi banate hain
hum ki apni taraf na dekh sake
log un se nazar milate hain
waqt ki raushni pe naz na kar
waqt ke ruKH badal bhi jate hain
zikr-e-ilm-o-adab na chheD 'anjum'
hazrat-e-'fauq' yaad aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.