choT lag jae bhi to dard nahin hota mujhe
choT lag jaa.e bhī to dard nahīñ hotā mujhe
dil agar TuuT bhī jaa.e to koī baat nahīñ
hai baḌā kufr jo sochūñ maiñ koī us ke sivā
vo bhaTak jaa.e bahak jaa.e koī baat nahīñ
zāt-e-nisvāñ ko hī bas sabr kā dam bharnā hai
be-sabab zulm vo Dhaa.e to koī baat nahīñ
ghar se be-parda jo niklūñ to maiñ mujrim Thahrūñ
taar taar aañkh se kar de vo koī baat nahīñ
Dolī uTh jaa.e to aanā hai janāza ban kar
maut se pahle hī maut aa.e koī baat nahīñ
choT lag jae bhi to dard nahin hota mujhe
dil agar TuT bhi jae to koi baat nahin
hai baDa kufr jo sochun main koi us ke siwa
wo bhaTak jae bahak jae koi baat nahin
zat-e-niswan ko hi bas sabr ka dam bharna hai
be-sabab zulm wo Dhae to koi baat nahin
ghar se be-parda jo niklun to main mujrim Thahrun
tar tar aankh se kar de wo koi baat nahin
Doli uTh jae to aana hai janaza ban kar
maut se pahle hi maut aae koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.