choT phulon ki chhaDi se bhi na kyon dil par lage
choT phūloñ kī chhaḌī se bhī na kyoñ dil par lage
shahr meñ har aadmī jab dard kā paikar lage
kār-gāh-e-zindagī goyā hai dasht-e-karbalā
rāste meñ jis taraf bhī jā.iye Thokar lage
is dayār-e-raushnī ne yuuñ kiyā hai ḳhīra-chashm
zindagī jaise yahāñ shab se bhī tīra-tar lage
rāste vīrān chehre faq laboñ par ḳhāmushī
dosto ye shahr bhī ab mujh ko apnā ghar lage
vaqt kā be-rahm sūraj kyoñ na ho zohra-gudāz
sub.h kī ThanDī havā bhī jab mujhe ḳhanjar lage
manzileñ aisī bhī aa.ī haiñ safar meñ zaat ke
phuul bhī zer-e-qadam aa.e to vo patthar lage
zaḳhm tanhā.ī kā 'shiblī' thā na kuchh kam jāñ-gudāz
aur is par ye huā ki pai-ba-pai nashtar lage
choT phulon ki chhaDi se bhi na kyon dil par lage
shahr mein har aadmi jab dard ka paikar lage
kar-gah-e-zindagi goya hai dasht-e-karbala
raste mein jis taraf bhi jaiye Thokar lage
is dayar-e-raushni ne yun kiya hai KHira-chashm
zindagi jaise yahan shab se bhi tira-tar lage
raste viran chehre faq labon par KHamushi
dosto ye shahr bhi ab mujh ko apna ghar lage
waqt ka be-rahm suraj kyon na ho zohra-gudaz
subh ki ThanDi hawa bhi jab mujhe KHanjar lage
manzilen aisi bhi aai hain safar mein zat ke
phul bhi zer-e-qadam aae to wo patthar lage
zaKHm tanhai ka 'shibli' tha na kuchh kam jaan-gudaz
aur is par ye hua ki pai-ba-pai nashtar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.