chubhan se dard se qurbat baDha raha hai koi
chubhan se dard se qurbat baḌhā rahā hai koī
dayār-e-dil se kahīñ duur jā rahā hai koī
samundaroñ se kaho kashtiyāñ Dubo Dāleñ
hamārī maut ke qisse sunā rahā hai koī
use batāo ḳhushī der tak nahīñ rahtī
mire ġhamoñ pe bahut muskurā rahā hai koī
mirā hī naam nahīñ hai mirī kahānī meñ
ki mujh se zaat ko merī chhupā rahā hai koī
kisī kī yaad ke jaale haiñ mere hujre meñ
udāsiyoñ se mirā ghar sajā rahā hai koī
tamām-shahr meñ ik ghar yahī thā ulfat kā
yahāñ bhī maut kā bistar bichhā rahā hai koī
mire lahū ko chhiḌak do tamām gulshan meñ
mirī vafāoñ pe uñglī uThā rahā hai koī
maiñ us se baat to kar luuñ ruko zarā 'sādiq'
mire daroñ se sadā.eñ lagā rahā hai koī
chubhan se dard se qurbat baDha raha hai koi
dayar-e-dil se kahin dur ja raha hai koi
samundaron se kaho kashtiyan Dubo Dalen
hamari maut ke qisse suna raha hai koi
use batao KHushi der tak nahin rahti
mere ghamon pe bahut muskura raha hai koi
mera hi nam nahin hai meri kahani mein
ki mujh se zat ko meri chhupa raha hai koi
kisi ki yaad ke jale hain mere hujre mein
udasiyon se mera ghar saja raha hai koi
tamam-shahr mein ek ghar yahi tha ulfat ka
yahan bhi maut ka bistar bichha raha hai koi
mere lahu ko chhiDak do tamam gulshan mein
meri wafaon pe ungli uTha raha hai koi
main us se baat to kar lun ruko zara 'sadiq'
mere daron se sadaen laga raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.