chubhenge Khaar to raston pe chalna chhoD doge kya
chubheñge ḳhaar to rastoñ pe chalnā chhoḌ doge kyā
kaho manzil ko paane kā irāda chhoḌ doge kyā
mohabbat kī hai to anjām tak pahuñchā bhī do is ko
dil-e-nākām ko yūñhī taḌaptā chhoḌ doge kyā
hameñ bhī jānib-e-manzil usī raste se jaanā hai
hamāre vāste thoḌā sā rastā chhoḌ doge kyā
hazāroñ hādse hote haiñ logoñ roz saḌkoñ par
gharoñ se maut ke Dar se nikalnā chhoḌ doge kyā
agar tum se kahe koī ki sher-o-shā.erī chhoḌo
'ajay' tum 'mīr' aur 'ġhālib' ko paḌhnā chhoḌ doge kyā
chubhenge KHar to raston pe chalna chhoD doge kya
kaho manzil ko pane ka irada chhoD doge kya
mohabbat ki hai to anjam tak pahuncha bhi do is ko
dil-e-nakaam ko yunhi taDapta chhoD doge kya
hamein bhi jaanib-e-manzil usi raste se jaana hai
hamare waste thoDa sa rasta chhoD doge kya
hazaron hadse hote hain logon roz saDkon par
gharon se maut ke Dar se nikalna chhoD doge kya
agar tum se kahe koi ki sher-o-shaeri chhoDo
'ajay' tum 'mir' aur 'ghaalib' ko paDhna chhoD doge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.