chubhti rahi sine mein koi baat musalsal
chubhtī rahī siine meñ koī baat musalsal
pahlū hī badalte rahe ham raat musalsal
hote haiñ tasavvur meñ vo din raat musalsal
rahtī hai mirī un se mulāqāt musalsal
āġhāz meñ halkī sī chubhan dil meñ thī nāseh
āhista se baḌhtī ga.ī phir baat musalsal
mushkil huā jaatā hai ise pahlū meñ rakhnā
karne lagā dil un kī shikāyāt musalsal
mil jaatā ḳhudā bhī jo kabhī DhūñDte us ko
jis tarh se DhūñDā tumheñ din raat musalsal
'sā'dī' huā dushvār mirī jaan kā bachnā
hone lagīñ ab un kī 'ināyāt musalsal
chubhti rahi sine mein koi baat musalsal
pahlu hi badalte rahe hum raat musalsal
hote hain tasawwur mein wo din raat musalsal
rahti hai meri un se mulaqat musalsal
aaghaz mein halki si chubhan dil mein thi naseh
aahista se baDhti gai phir baat musalsal
mushkil hua jata hai ise pahlu mein rakhna
karne laga dil un ki shikayat musalsal
mil jata KHuda bhi jo kabhi DhunDte us ko
jis tarh se DhunDa tumhein din raat musalsal
'sa'di' hua dushwar meri jaan ka bachna
hone lagin ab un ki 'inayat musalsal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.