chuna tha unki mohabbat ne aazma ke mujhe
chunā thā un kī mohabbat ne aazmā ke mujhe
supurd-e-ḳhāk kiyā aadmī banā ke mujhe
maiñ apne dil meñ ḳhud apnī vafā pe nādim huuñ
unheñ ḳhushī na huī ḳhaak meñ milā ke mujhe
lagī meñ aur lagātī hai ḳhaak parvāna
ma.āl-e-soz-e-mohabbat dikhā dikhā ke mujhe
ye mere dard-e-tamannā kī āzmā.ish hai
qafas meñ chhoḌ diyā gulsitāñ se lā ke mujhe
vo bazm aur mire baa'd jagmagā uTThī
bahut charāġh jalā.e ga.e bujhā ke mujhe
niyāz-mand huuñ tauf-e-haram bhī kar lūñgā
jo vaqt mil gayā sajdoñ se naqsh-e-pā ke mujhe
baḌā karam ho jo aise meñ yaad aa jaao
satā rahe haiñ bahut naqsh mā-sivā ke mujhe
ye ek din kā nahīñ 'umr bhar kā ronā hai
ḳhudā ke vāste dekho na muskurā ke mujhe
faroġh deñge kabhī sham'-e-anjuman kī tarah
abhī to dekh rahe haiñ jalā jalā ke mujhe
mudām rahtā hai 'maḳhmūr' kaif kā 'ālam
karam kiyā mire saaqī ne mai pilā ke mujhe
chuna tha un ki mohabbat ne aazma ke mujhe
supurd-e-KHak kiya aadmi bana ke mujhe
main apne dil mein KHud apni wafa pe nadim hun
unhen KHushi na hui KHak mein mila ke mujhe
lagi mein aur lagati hai KHak parwana
maal-e-soz-e-mohabbat dikha dikha ke mujhe
ye mere dard-e-tamanna ki aazmaish hai
qafas mein chhoD diya gulsitan se la ke mujhe
wo bazm aur mere ba'd jagmaga uTThi
bahut charagh jalae gae bujha ke mujhe
niyaz-mand hun tauf-e-haram bhi kar lunga
jo waqt mil gaya sajdon se naqsh-e-pa ke mujhe
baDa karam ho jo aise mein yaad aa jao
sata rahe hain bahut naqsh ma-siwa ke mujhe
ye ek din ka nahin 'umr bhar ka rona hai
KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe
farogh denge kabhi sham'-e-anjuman ki tarah
abhi to dekh rahe hain jala jala ke mujhe
mudam rahta hai 'maKHmur' kaif ka 'alam
karam kiya mere saqi ne mai pila ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.