chup-chap nikal aae the sahra ki taraf hum
chup-chāp nikal aa.e the sahrā kī taraf ham
chalte hue kyā dekhte duniyā kī taraf ham
pāmāl kiye jaatī hai is vāste duniyā
baiThe haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā kī taraf ham
kis pyaas se ḳhālī huā mashkīza hamārā
dariyā se jo uTh aa.e haiñ sahrā kī taraf ham
kyā chāhtī hai niyyat-e-bāzār-e-zamāna
khiñchte chale jaate haiñ jo ashiyā kī taraf ham
ye ajnabī logoñ kī zarā bhiiḌ chhaTe to
jā.eñge kisī apne shanāsā kī taraf ham
'gauhar' ye zamīñ ham ko bahut yaad karegī
uTh jā.eñge jab ālam-e-bālā kī taraf ham
chup-chap nikal aae the sahra ki taraf hum
chalte hue kya dekhte duniya ki taraf hum
pamal kiye jati hai is waste duniya
baiThe hain tere naqsh-e-kaf-e-pa ki taraf hum
kis pyas se KHali hua mashkiza hamara
dariya se jo uTh aae hain sahra ki taraf hum
kya chahti hai niyyat-e-bazar-e-zamana
khinchte chale jate hain jo ashiya ki taraf hum
ye ajnabi logon ki zara bhiD chhaTe to
jaenge kisi apne shanasa ki taraf hum
'gauhar' ye zamin hum ko bahut yaad karegi
uTh jaenge jab aalam-e-baala ki taraf hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.