Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup-chap sah gae wo sitam bolte nahin

Syed Khadime Rasul Aini

chup-chap sah gae wo sitam bolte nahin

Syed Khadime Rasul Aini

MORE BYSyed Khadime Rasul Aini

    chup-chāp sah ga.e vo sitam bolte nahīñ

    āñkheñ agarche ho ga.iiñ nam bolte nahīñ

    sīdhā nishāñ lagāte haiñ dushman ke siine par

    kahtā hai kaun un ke qalam bolte nahīñ

    sargoshiyāñ guhar yahī karte haiñ siip meñ

    majbūriyoñ ke saa.e meñ ham bolte nahīñ

    hālāt āshkārā hoñ kaise zamāne meñ

    ashkoñ ko ga.e haiñ alam bolte nahīñ

    ik saath āsmāñ pe ye tūfāñ machā.eñge

    mazlūmiyat aahoñ ke bam bolte nahīñ

    apnā mizāj hai yahī shā.ir jo Thahre ham

    ehsās kar rahe haiñ raqam bolte nahīñ

    ḳhāmoshiyoñ ke saath vo manzil ko ga.e

    jab jaate haiñ vo samt-e-adam bolte nahīñ

    un ke tasavvufāt duniyā meñ dhuum hai

    zāhir meñ garche ibn-e-adham bolte nahīñ

    hai maslahat ḳhudā ki zāhir ye ho ga.e

    ḳhud se tasarrufāt-e-karam bolte nahīñ

    patthar pe chhoḌ jaate haiñ 'ainī' vo naqsh-e-pāk

    kahnā ġhalat hai un ke qadam bolte nahīñ

    chup-chap sah gae wo sitam bolte nahin

    aankhen agarche ho gain nam bolte nahin

    sidha nishan lagate hain dushman ke sine par

    kahta hai kaun un ke qalam bolte nahin

    sargoshiyan guhar yahi karte hain sip mein

    majburiyon ke sae mein hum bolte nahin

    haalat aashkara hon kaise zamane mein

    ashkon ko pi gae hain alam bolte nahin

    ek sath aasman pe ye tufan machaenge

    mazlumiyat ki aahon ke bam bolte nahin

    apna mizaj hai yahi shair jo Thahre hum

    ehsas kar rahe hain raqam bolte nahin

    KHamoshiyon ke sath wo manzil ko pa gae

    jab jate hain wo samt-e-adam bolte nahin

    un ke tasawwufat ki duniya mein dhum hai

    zahir mein garche ibn-e-adham bolte nahin

    hai maslahat KHuda ki ki zahir ye ho gae

    KHud se tasarrufat-e-karam bolte nahin

    patthar pe chhoD jate hain 'aini' wo naqsh-e-pak

    kahna ghalat hai un ke qadam bolte nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now