chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun
chup guzar jaatā huuñ hairān bhī ho jaatā huuñ
aur kisī din to pareshān bhī ho jaatā huuñ
sīdhā rasta huuñ magar mujh se guzarnā mushkil
gumrahoñ ke liye āsān bhī ho jaatā huuñ
fā.eda mujh ko sharāfat kā bhī mil jaatā hai
par kabhī bā.is-e-nuqsān bhī ho jaatā huuñ
apne hī zikr ko suntā huuñ harīfoñ kī tarah
apne hī naam se anjān bhī ho jaatā huuñ
raunaqeñ shahr basā letī haiñ mujh meñ apnā
aan kī aan meñ sunsān bhī ho jaatā huuñ
zindagī hai to badal letī hai karvaT 'shahpar'
aadmī huuñ kabhī haivān bhī ho jaatā huuñ
chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun
aur kisi din to pareshan bhi ho jata hun
sidha rasta hun magar mujh se guzarna mushkil
gumrahon ke liye aasan bhi ho jata hun
faeda mujh ko sharafat ka bhi mil jata hai
par kabhi bais-e-nuqsan bhi ho jata hun
apne hi zikr ko sunta hun harifon ki tarah
apne hi nam se anjaan bhi ho jata hun
raunaqen shahr basa leti hain mujh mein apna
aan ki aan mein sunsan bhi ho jata hun
zindagi hai to badal leti hai karwaT 'shahpar'
aadmi hun kabhi haiwan bhi ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.