chup hue to ghar se nikle ja ke daftar ro paDe
chup hue to ghar se nikle ja ke daftar ro paDe
Prashant Sharma Daraz
MORE BYPrashant Sharma Daraz
chup hue to ghar se nikle jā ke daftar ro paḌe
ishq aisī jañg hai jis meñ sikandar ro paḌe
dostī kī kuchh misāleñ is tarah bhī dī ga.iiñ
jab sudāmā ko lagī to saath girdhar ro paḌe
filoñ meñ dafn karke ḳhvāb jab maiñ ro paḌā
dekh kar vo haal merā pen paper ro paḌe
bas diloñ par kab kisī kā chal sakā hai ishq meñ
phir se Dial kar ke ham vo ek number ro paḌe
pūchh baiThe log mujh se ro rahā hai kyā huā
chup karāne the jo aa.e log mil kar ro paḌe
baaz ham ne yuuñ lagāyā ġham Thikāne raat meñ
sab se chhup kar oḌh kar ke ek chādar ro paḌe
dil lagā kar kaam karne kī hameñ aadat rahī
is liye jab ro rahe the dil lagā kar ro paḌe
chup hue to ghar se nikle ja ke daftar ro paDe
ishq aisi jang hai jis mein sikandar ro paDe
dosti ki kuchh misalen is tarah bhi di gain
jab sudama ko lagi to sath girdhar ro paDe
filon mein dafn karke KHwab jab main ro paDa
dekh kar wo haal mera pen paper ro paDe
bas dilon par kab kisi ka chal saka hai ishq mein
phir se Dial kar ke hum wo ek number ro paDe
puchh baiThe log mujh se ro raha hai kya hua
chup karane the jo aae log mil kar ro paDe
baz hum ne yun lagaya gham Thikane raat mein
sab se chhup kar oDh kar ke ek chadar ro paDe
dil laga kar kaam karne ki hamein aadat rahi
is liye jab ro rahe the dil laga kar ro paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.