chup ki taqat se guzara nahin hone wala
chup kī tāqat se guzāra nahīñ hone vaalā
ab sharāfat se guzāra nahīñ hone vaalā
ab ye lāzim hai ki sahrāoñ meñ bhaTkā jaa.e
ghar kī vahshat se guzāra nahīñ hone vaalā
sher kahnā hai to kahne kā salīqa sīkho
is meñ ujlat se guzāra nahīñ hone vaalā
dil meñ fitrat ko bhī thoḌī sī jagah dī jaa.e
ik mohabbat se guzāra nahīñ hone vaalā
ghar chalāne ke liye ḳhuun jalānā hogā
sirf mehnat se guzāra nahīñ hone vaalā
raas aate nahīñ ham ko ye khanakte sikke
apnā daulat se guzāra nahīñ hone vaalā
soch ke aao ye darbār-e-mohabbat hai yahāñ
shān-o-shaukat se guzāra nahīñ hone vaalā
chup ki taqat se guzara nahin hone wala
ab sharafat se guzara nahin hone wala
ab ye lazim hai ki sahraon mein bhaTka jae
ghar ki wahshat se guzara nahin hone wala
sher kahna hai to kahne ka saliqa sikho
is mein ujlat se guzara nahin hone wala
dil mein fitrat ko bhi thoDi si jagah di jae
ek mohabbat se guzara nahin hone wala
ghar chalane ke liye KHun jalana hoga
sirf mehnat se guzara nahin hone wala
ras aate nahin hum ko ye khanakte sikke
apna daulat se guzara nahin hone wala
soch ke aao ye darbar-e-mohabbat hai yahan
shan-o-shaukat se guzara nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.