chup rahe dekh ke un aankhon ke tewar aashiq
chup rahe dekh ke un āñkhoñ ke tevar āshiq
varna kyā kuchh na uThā sakte the mahshar āshiq
dekheñ ab kaun se raste pe zamāna jaa.e
kūcha kūcha haiñ parī-zād to ghar ghar āshiq
dam-ba-ḳhud zohra-jabīnoñ ko takā kartā hai
hai hamārī hī tarah raah kā patthar āshiq
vo bhī insān hai kis kis ko navāzegā 'fuzail'
phuul sī jaan ke pīchhe haiñ bahattar āshiq
chup rahe dekh ke un aankhon ke tewar aashiq
warna kya kuchh na uTha sakte the mahshar aashiq
dekhen ab kaun se raste pe zamana jae
kucha kucha hain pari-zad to ghar ghar aashiq
dam-ba-KHud zohra-jabinon ko taka karta hai
hai hamari hi tarah rah ka patthar aashiq
wo bhi insan hai kis kis ko nawazega 'fuzail'
phul si jaan ke pichhe hain bahattar aashiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.