chup the bargad KHushk mausam ka gila karte na the
chup the bargad KHushk mausam ka gila karte na the
Nashtar Khaanqahi
MORE BYNashtar Khaanqahi
chup the bargad ḳhushk mausam kā gilā karte na the
chal rahī thiiñ āñdhiyāñ patte sadā karte na the
ham rasīda the ki dekheñ dūsroñ ko sho.ala-pā
the safar meñ aur safar kī ibtidā karte na the
band thā paanī saf-ārā the ġhanīm-e-rū-siyāh
ham adā is par bhī rasm-e-karbalā karte na the
mutma.in the ahl-e-maqtal nīm-jāñ kar ke mujhe
kaisī hushyārī thī sar tan se judā karte na the
ham ko kis shab zinda rahne kī havas hotī na thī
din meñ ham kab ḳhud-kushī kā faisla karte na the
kaise dūr-andesh munsif the ki insāfan mujhe
mānte the be-ḳhatā lekin rihā karte na the
chup the bargad KHushk mausam ka gila karte na the
chal rahi thin aandhiyan patte sada karte na the
hum rasida the ki dekhen dusron ko shoala-pa
the safar mein aur safar ki ibtida karte na the
band tha pani saf-ara the ghanim-e-ru-siyah
hum ada is par bhi rasm-e-karbala karte na the
mutmain the ahl-e-maqtal nim-jaan kar ke mujhe
kaisi hushyari thi sar tan se juda karte na the
hum ko kis shab zinda rahne ki hawas hoti na thi
din mein hum kab KHud-kushi ka faisla karte na the
kaise dur-andesh munsif the ki insafan mujhe
mante the be-KHata lekin riha karte na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.