chupke chupke dard-o-gham ka silsila rahne diya
chupke chupke dard-o-ġham kā silsila rahne diyā
maiñ ne apnī chāhatoñ ko be-sadā rahne diyā
kyā tamāshā-e-sitam sayyād ne barpā kiyā
Daal kar mujh ko qafas meñ dar khulā rahne diyā
qurbateñ mujh se rahīñ aur dil se rakkhā duur bhī
saath rah kar bhī unhoñ ne fāsla rahne diyā
kārvāñ chaltā rahā lekin girā jo zo.af se
rāste meñ jaise ik patthar paḌā rahne diyā
ab tavaqqo hī nahīñ vo ġhair haiñ to ġhair haiñ
bas yahī kuchh soch kar ham ne gila rahne diyā
faisle un ke rahe aur jiit bhī un kī rahī
mujh ko to har haal meñ be-dast-o-pā rahne diyā
chal rahī hai zindagī ye dauḌ hai vo dauḌ hai
is tarah kuchh pā liyā jo kho gayā rahne diyā
thā parī-paikar ko apne husn par itnā ġhurūr
jān-e-bulbul se bhī us ne fāsla rahne diyā
ab kahāñ DhūñDoge 'barham' chāhateñ aur qurbateñ
tum ne ḳhud hī shahr ko nā-āshnā rahne diyā
chupke chupke dard-o-gham ka silsila rahne diya
main ne apni chahaton ko be-sada rahne diya
kya tamasha-e-sitam sayyaad ne barpa kiya
Dal kar mujh ko qafas mein dar khula rahne diya
qurbaten mujh se rahin aur dil se rakkha dur bhi
sath rah kar bhi unhon ne fasla rahne diya
karwan chalta raha lekin gira jo zoaf se
raste mein jaise ek patthar paDa rahne diya
ab tawaqqo hi nahin wo ghair hain to ghair hain
bas yahi kuchh soch kar hum ne gila rahne diya
faisle un ke rahe aur jit bhi un ki rahi
mujh ko to har haal mein be-dast-o-pa rahne diya
chal rahi hai zindagi ye dauD hai wo dauD hai
is tarah kuchh pa liya jo kho gaya rahne diya
tha pari-paikar ko apne husn par itna ghurur
jaan-e-bulbul se bhi us ne fasla rahne diya
ab kahan DhunDoge 'barham' chahaten aur qurbaten
tum ne KHud hi shahr ko na-ashna rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.