chupke chupke gham ka khana koi humse sikh jae
chupke chupke gham ka khana koi humse sikh jae
Shaikh Ibrahim Zauq
MORE BYShaikh Ibrahim Zauq
chupke chupke ġham kā khānā koī ham se siikh jaa.e
jī hī jī meñ tilmilānā koī ham se siikh jaa.e
abr kyā aañsū bahānā koī ham se siikh jaa.e
barq kyā hai tilmilānā koī ham se siikh jaa.e
zikr-e-sham-e-husn laanā koī ham se siikh jaa.e
un ko dar-parda jalānā koī ham se siikh jaa.e
jhūT-mūT afyūn khānā koī ham se siikh jaa.e
un ko kaf lā kar Darānā koī ham se siikh jaa.e
sun ke aamad un kī az-ḳhud-rafta ho jaate haiñ ham
peshvā lene ko jaanā koī ham se siikh jaa.e
ham ne avval hī kahā thā tū karegā ham ko qatl
tevaroñ kā taaḌ jaanā koī ham se siikh jaa.e
lutf uThānā hai agar manzūr us ke naaz kā
pahle us kā naaz uThānā koī ham se siikh jaa.e
jo sikhāyā apnī qismat ne vagarna us ko ġhair
kyā sikhā.egā sikhānā koī ham se siikh jaa.e
dekh kar qātil ko bhar laa.e ḳharāsh-e-dil meñ ḳhuuñ
sach to ye hai muskurānā koī ham se siikh jaa.e
tiir o paikāñ dil meñ jitne the diye ham ne nikāl
apne hāthoñ ghar luTānā koī ham se siikh jaa.e
kah do qāsid se ki jaa.e kuchh bahāne se vahāñ
gar nahīñ aatā bahānā koī ham se siikh jaa.e
ḳhat meñ likhvā kar unheñ bhejā to matlā dard kā
dard-e-dil apnā jatānā koī ham se siikh jaa.e
jab kahā martā huuñ vo bole mirā sar kaaT kar
jhuuT ko sach kar dikhānā koī ham se siikh jaa.e
vaañ hile abrū yahāñ pherī gale par ham ne teġh
baat kā iimā se paanā koī ham se siikh jaa.e
teġh to ochhī paḌī thī gir paḌe ham aap se
dil ko qātil ke baḌhānā koī ham se siikh jaa.e
zaḳhm ko siite haiñ sab par sozan-e-almās se
chaak siine ke silānā koī ham se siikh jaa.e
pūchhe mullā se jise karnā ho sajda sahv kā
sīkhe gar apnā bhulānā koī ham se siikh jaa.e
kyā huā ai 'zauq' haiñ juuñ mardumuk ham rū-siyāh
lekin āñkhoñ meñ samānā koī ham se siikh jaa.e
chupke chupke gham ka khana koi hum se sikh jae
ji hi ji mein tilmilana koi hum se sikh jae
abr kya aansu bahana koi hum se sikh jae
barq kya hai tilmilana koi hum se sikh jae
zikr-e-sham-e-husn lana koi hum se sikh jae
un ko dar-parda jalana koi hum se sikh jae
jhuT-muT afyun khana koi hum se sikh jae
un ko kaf la kar Darana koi hum se sikh jae
sun ke aamad un ki az-KHud-rafta ho jate hain hum
peshwa lene ko jaana koi hum se sikh jae
hum ne awwal hi kaha tha tu karega hum ko qatl
tewaron ka taD jaana koi hum se sikh jae
lutf uThana hai agar manzur us ke naz ka
pahle us ka naz uThana koi hum se sikh jae
jo sikhaya apni qismat ne wagarna us ko ghair
kya sikhaega sikhana koi hum se sikh jae
dekh kar qatil ko bhar lae KHarash-e-dil mein KHun
sach to ye hai muskurana koi hum se sikh jae
tir o paikan dil mein jitne the diye hum ne nikal
apne hathon ghar luTana koi hum se sikh jae
kah do qasid se ki jae kuchh bahane se wahan
gar nahin aata bahana koi hum se sikh jae
KHat mein likhwa kar unhen bheja to matla dard ka
dard-e-dil apna jatana koi hum se sikh jae
jab kaha marta hun wo bole mera sar kaT kar
jhuT ko sach kar dikhana koi hum se sikh jae
wan hile abru yahan pheri gale par hum ne tegh
baat ka ima se pana koi hum se sikh jae
tegh to ochhi paDi thi gir paDe hum aap se
dil ko qatil ke baDhana koi hum se sikh jae
zaKHm ko site hain sab par sozan-e-almas se
chaak sine ke silana koi hum se sikh jae
puchhe mulla se jise karna ho sajda sahw ka
sikhe gar apna bhulana koi hum se sikh jae
kya hua ai 'zauq' hain jun mardumuk hum ru-siyah
lekin aankhon mein samana koi hum se sikh jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.