chupke se mujhko aaj koi ye bata gaya
chupke se mujh ko aaj koī ye batā gayā
kal raat maiñ bhī us kī ḳhayāloñ meñ aa gayā
jaise ki khil uThe koī jaatī bahār meñ
murda paḌā thā maiñ mujhe chhū kar jilā diyā
ik raushnī meñ Duube hue the mire charāġh
vo vasl ke liye mire pahlū meñ aa gayā
muddat ke ba.ad niiñd kī lazzat na pūchhiye
nashsha chaḌhā huā thā so chaḌhtā chalā gayā
chupke se mujh ko aaj koi ye bata gaya
kal raat main bhi us ki KHayalon mein aa gaya
jaise ki khil uThe koi jati bahaar mein
murda paDa tha main mujhe chhu kar jila diya
ek raushni mein Dube hue the mere charagh
wo wasl ke liye mere pahlu mein aa gaya
muddat ke baad nind ki lazzat na puchhiye
nashsha chaDha hua tha so chaDhta chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.