chupke se qarib aana phir dur nikal jaana
chupke se qarīb aanā phir duur nikal jaanā
har pal kā muqaddar hai maazī meñ badal jaanā
kar kar ke tirī bāteñ paḌh paḌh ke tirā chehra
har sinf-e-suḳhan sīkhī har rañg-e-ġhazal jaanā
ik farz hai hastī par har pal kī pazīrā.ī
tārīḳh kā sheva hai sadiyoñ ko nigal jaanā
paḌtī haiñ pahāḌoñ par sūraj kī shuā.eñ jab
mushkil kahāñ rahtā hai phir barf pighal jaanā
kirdār adā karnā har shaḳhs ko paḌtā hai
āsāñ nahīñ qaumoñ kī taqdīr badal jaanā
'jāved' zarūrī hai duniyā meñ añdherā bhī
hai maslahat-e-yazdāñ ye shaam kā Dhal jaanā
chupke se qarib aana phir dur nikal jaana
har pal ka muqaddar hai mazi mein badal jaana
kar kar ke teri baaten paDh paDh ke tera chehra
har sinf-e-suKHan sikhi har rang-e-ghazal jaana
ek farz hai hasti par har pal ki pazirai
tariKH ka shewa hai sadiyon ko nigal jaana
paDti hain pahaDon par suraj ki shuaen jab
mushkil kahan rahta hai phir barf pighal jaana
kirdar ada karna har shaKHs ko paDta hai
aasan nahin qaumon ki taqdir badal jaana
'jawed' zaruri hai duniya mein andhera bhi
hai maslahat-e-yazdan ye sham ka Dhal jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.