chura raha hai KHazane na aaj kal se mere
churā rahā hai ḳhazāne na aaj kal se mire
ye duzd-e-umr ta.āqub meñ hai azal se mire
ye kaj-adā mujhe achchhe dinoñ se jāntī hai
baḌe marāsim-e-dairīna haiñ ġhazal se mire
dikhā dikhā ke na.e manzaroñ kā ḳhālī-pan
daraḳht haath milāte haiñ dast-e-shal se mire
vo aañkh so ga.ī vo chāñdnī bhī ruuTh ga.ī
mukālme na mukammal hue kañval se mire
chhabelī le ga.ī yāroñ ko kyoñ pas-e-mahtāb
gile ġhazab ke haiñ doshīza-e-ajal se mire
chura raha hai KHazane na aaj kal se mere
ye duzd-e-umr taaqub mein hai azal se mere
ye kaj-ada mujhe achchhe dinon se jaanti hai
baDe marasim-e-dairina hain ghazal se mere
dikha dikha ke nae manzaron ka KHali-pan
daraKHt hath milate hain dast-e-shal se mere
wo aankh so gai wo chandni bhi ruTh gai
mukalme na mukammal hue kanwal se mere
chhabeli le gai yaron ko kyon pas-e-mahtab
gile ghazab ke hain doshiza-e-ajal se mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.