chuTki kaTo zara hilao mujhe
chuTkī kaaTo zarā hilāo mujhe
maiñ yahīñ huuñ yaqīñ dilāo mujhe
roz ik jhiil raah taktī hai
khīñch letā hai ik alaav mujhe
jannatī huuñ to phir baḌho aage
titliyoñ aao gudgudāo mujhe
maiñ huuñ dariyā so karnā paḌtā hai
kahīñ rasta kahīñ kaTāo mujhe
apnī raftār kho chukā huuñ maiñ
kitnā mahñgā paḌā paḌāv mujhe
maiñ kināra huuñ aur aarzī huuñ
jaane kab kaaT de bahāo mujhe
maiñ huuñ āḳhir ko jins-e-ḳhām 'azbar'
bech do kauḌiyoñ ke bhaav mujhe
chuTki kaTo zara hilao mujhe
main yahin hun yaqin dilao mujhe
roz ek jhil rah takti hai
khinch leta hai ek alaw mujhe
jannati hun to phir baDho aage
titliyon aao gudgudao mujhe
main hun dariya so karna paDta hai
kahin rasta kahin kaTao mujhe
apni raftar kho chuka hun main
kitna mahnga paDa paDaw mujhe
main kinara hun aur aarzi hun
jaane kab kaT de bahao mujhe
main hun aaKHir ko jins-e-KHam 'azbar'
bech do kauDiyon ke bhaw mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.