chuTkiyan leti hai goyai kise aawaz dun
chuTkiyāñ letī hai goyā.ī kise āvāz duuñ
kis ko hai taufīq-e-shunvā.ī kise āvāz duuñ
sar meñ saudā hai na dil meñ aarzū kis se kahūñ
jalvateñ māñge hai tanhā.ī kise āvāz duuñ
apnī nazroñ meñ to merā zo.am-e-hastī laġhv hai
kis se pūchhūñ apnī sachchā.ī kise āvāz duuñ
bech dūñgā maiñ zamīr apnā agar taskīñ mile
ai musalsal rūh-farsā.ī ke āvāz duuñ
merī hasrat koī pūchhe mujh se merā hāl-e-dil
log apne apne shaidā.ī kise āvāz duuñ
āzmā.ish kā ye pahlū bhī hai kyā ma.alūm thā
kāmrānī kī ghaḌī aa.ī kise āvāz duuñ
kis ke naam āḳhir karūñ 'hairat' maiñ apnī vahshateñ
muntazir hai dasht-paimā.ī kise āvāz duuñ
chuTkiyan leti hai goyai kise aawaz dun
kis ko hai taufiq-e-shunwai kise aawaz dun
sar mein sauda hai na dil mein aarzu kis se kahun
jalwaten mange hai tanhai kise aawaz dun
apni nazron mein to mera zoam-e-hasti laghw hai
kis se puchhun apni sachchai kise aawaz dun
bech dunga main zamir apna agar taskin mile
ai musalsal ruh-farsai ke aawaz dun
meri hasrat koi puchhe mujh se mera haal-e-dil
log apne apne shaidai kise aawaz dun
aazmaish ka ye pahlu bhi hai kya malum tha
kaamrani ki ghaDi aai kise aawaz dun
kis ke nam aaKHir karun 'hairat' main apni wahshaten
muntazir hai dasht-paimai kise aawaz dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.