chur hai shisha-e-dil ek nazar aur sahi
chuur hai shīsha-e-dil ek nazar aur sahī
ik nayā ḳhvāb mire dīda-e-tar aur sahī
kyoñ na do-chār qadam saath bhī chal kar dekheñ
hai mirī raah judā terā safar aur sahī
us kī bhīgī huī āñkhoñ se chalo mil aa.eñ
ai mirī zindagī ik zaḳhm-e-jigar aur sahī
ab ke shāyad kisī manzil kā pata mil jaa.e
rā.egāñ lamhoñ meñ ik rāhguzar aur sahī
umr to saarī gharoñdoñ hī meñ guzrī hai 'zamīr'
āḳhirī baar ye ik ret kā ghar aur sahī
chur hai shisha-e-dil ek nazar aur sahi
ek naya KHwab mere dida-e-tar aur sahi
kyon na do-chaar qadam sath bhi chal kar dekhen
hai meri rah juda tera safar aur sahi
us ki bhigi hui aankhon se chalo mil aaen
ai meri zindagi ek zaKHm-e-jigar aur sahi
ab ke shayad kisi manzil ka pata mil jae
raegan lamhon mein ek rahguzar aur sahi
umr to sari gharondon hi mein guzri hai 'zamir'
aaKHiri bar ye ek ret ka ghar aur sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.