chyunTi se sikh lenge hunar uske baad kya
chyūñTī se siikh leñge hunar us ke baa'd kyā
jaatā rahegā hāthī kā Dar us ke baa'd kyā
laḌtā rahūñgā maut se maiñ tere vāste
jiinā tire liye hai magar us ke baa'd kyā
aa.e the mere dar pe du'ā māñgte hue
phalne lage haiñ sāhab-e-zar us ke baa'd kyā
din-rāt Tokne kā koī fā.eda nahīñ
kuchh din rahegā tum pe asar us ke baa'd kyā
dushvāriyoñ meñ DhūñD lī hai ziist kī kalīd
jaatā rahegā maut kā Dar us ke baa'd kyā
milte nahīñ haiñ ġham yūñhī ḳhairāt meñ kabhī
mil jaa.e muft meñ jo agar us ke baa'd kyā
chyunTi se sikh lenge hunar us ke ba'd kya
jata rahega hathi ka Dar us ke ba'd kya
laDta rahunga maut se main tere waste
jina tere liye hai magar us ke ba'd kya
aae the mere dar pe du'a mangte hue
phalne lage hain sahab-e-zar us ke ba'd kya
din-raat Tokne ka koi faeda nahin
kuchh din rahega tum pe asar us ke ba'd kya
dushwariyon mein DhunD li hai zist ki kalid
jata rahega maut ka Dar us ke ba'd kya
milte nahin hain gham yunhi KHairaat mein kabhi
mil jae muft mein jo agar us ke ba'd kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.