daere se nikal de koi
dā.ere se nikāl de koī
ham ko raste pe Daal de koī
saañs rukne lagī hai siine meñ
ye kaḌā vaqt Taal de koī
yuuñ kiyā hai salām us ne mujhe
jaise patthar uchhāl de koī
us kī hasrat meñ jo guzār diye
vo mire māh-o-sāl de koī
baat karnā muhāl lagtā hai
mere maulā kamāl de koī
kaash merī ḳhatāoñ ko 'anvar'
ik tabassum se Taal de koī
daere se nikal de koi
hum ko raste pe Dal de koi
sans rukne lagi hai sine mein
ye kaDa waqt Tal de koi
yun kiya hai salam us ne mujhe
jaise patthar uchhaal de koi
us ki hasrat mein jo guzar diye
wo mere mah-o-sal de koi
baat karna muhaal lagta hai
mere maula kamal de koi
kash meri KHataon ko 'anwar'
ek tabassum se Tal de koi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.