dagh baiana husn ka na hua
daaġh bai.āna husn kā na huā
khoTe dāmoñ mo.āmla na huā
dil mukaddar rahā safā na huā
faiz ā.īna-rūoñ kā na huā
kuchh na kaam aa.e daaġh kī buuTī
qalb tāñbā rahā tilā na huā
dard-mandān-e-ḳhāl kahte haiñ
goliyāñ khā.īñ fā.eda na huā
dil ḳhayāloñ se pā.emāl rahā
sabza-e-rah-guzar harā na huā
aa.e fasl-e-chaman ki iid aa.e
ġhunche chaTke ki shādiyāna huā
har kisī zulf meñ rahā uljhā
dām-e-ulfat se dil rihā na huā
na khaTakte kisī ke āñkhoñ meñ
ye ġhubār apnā tūtiyā na huā
mere aage vo baiThe ġhair ke paas
paas merā unheñ zarā na huā
dil ne aise uThā.e rañj-o-ta.ab
phir mohabbat kā hausla na huā
jab kisī kī nazar paḌe ruḳh par
ḳhāl-e-mushkīñ siyāh daana huā
dekhī kaifiyyat-e-bahār-o-ḳhizāñ
maiñ do-rañgī se āshnā na huā
dil shagufta huā na phūloñ se
koī kāñTā girah-kushā na huā
ghar banā kar yahāñ ye tañg aayā
uqda-e-ḳhātir āshiyāna huā
rashk kā hai ma.aal be-rañgī
sabza pis kar kabhī hinā na huā
'bahr' dil soch kar use denā
ḳhud-ġharaz āshnā huā na huā
dagh baiana husn ka na hua
khoTe damon moamla na hua
dil mukaddar raha safa na hua
faiz aaina-ruon ka na hua
kuchh na kaam aae dagh ki buTi
qalb tanba raha tila na hua
dard-mandan-e-KHal kahte hain
goliyan khain faeda na hua
dil KHayalon se paemal raha
sabza-e-rah-guzar hara na hua
aae fasl-e-chaman ki id aae
ghunche chaTke ki shadiyana hua
har kisi zulf mein raha uljha
dam-e-ulfat se dil riha na hua
na khaTakte kisi ke aankhon mein
ye ghubar apna tutiya na hua
mere aage wo baiThe ghair ke pas
pas mera unhen zara na hua
dil ne aise uThae ranj-o-tab
phir mohabbat ka hausla na hua
jab kisi ki nazar paDe ruKH par
KHal-e-mushkin siyah dana hua
dekhi kaifiyyat-e-bahaar-o-KHizan
main do-rangi se aashna na hua
dil shagufta hua na phulon se
koi kanTa girah-kusha na hua
ghar bana kar yahan ye tang aaya
uqda-e-KHatir aashiyana hua
rashk ka hai maal be-rangi
sabza pis kar kabhi hina na hua
'bahr' dil soch kar use dena
KHud-gharaz aashna hua na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.