dagh dil ke jala gaya koi
daaġh dil ke jalā gayā koī
ġham kī lazzat baḌhā gayā koī
saarā aalam usī se raushan hai
zarre zarre pe chhā gayā koī
kar gayā ahd saath marne kā
umr merī baḌhā gayā koī
rog dīvāngī kā baaqī thā
vo bhī āḳhir lagā gayā koī
rang merā uḌā hī jaatā hai
aaj phir muskurā gayā koī
shaġhl rone kā de gayā 'āzim'
uTh ke mahfil se kyā gayā koī
dagh dil ke jala gaya koi
gham ki lazzat baDha gaya koi
sara aalam usi se raushan hai
zarre zarre pe chha gaya koi
kar gaya ahd sath marne ka
umr meri baDha gaya koi
rog diwangi ka baqi tha
wo bhi aaKHir laga gaya koi
rang mera uDa hi jata hai
aaj phir muskura gaya koi
shaghl rone ka de gaya 'azim'
uTh ke mahfil se kya gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.