dagh-e-dil dagh-e-jigar sham-e-farozan ho gaya
dāġh-e-dil dāġh-e-jigar sham-e-farozāñ ho gayā
un ke aate hī mire dil meñ charāġhāñ ho gayā
ai ḳhayāl-e-yār tū dil meñ jo mehmāñ ho gayā
phir dil-e-vīrāñ mirā rashk-e-gulistāñ ho gayā
thī mire dil kī umangoñ hī se duniyā kī bahār
dil pareshāñ kyā huā aalam pareshāñ ho gayā
dekh sab zaḳhm-e-jigar ab ban ga.e gulhā-e-tar
aa ki ye ujḌā ḳharāba bhī gulistāñ ho gayā
yās-o-naumīdī kī chhā.ī jab mire dil kī ghaTā
matl.a-e-ummīd ko sūraj numāyāñ ho gayā
dam mohabbat kā bharā kartā thā jo dil vasl meñ
ab vo shām-e-hijr aate hī pashemāñ ho gayā
dagh-e-dil dagh-e-jigar sham-e-farozan ho gaya
un ke aate hi mere dil mein charaghan ho gaya
ai KHayal-e-yar tu dil mein jo mehman ho gaya
phir dil-e-viran mera rashk-e-gulistan ho gaya
thi mere dil ki umangon hi se duniya ki bahaar
dil pareshan kya hua aalam pareshan ho gaya
dekh sab zaKHm-e-jigar ab ban gae gulha-e-tar
aa ki ye ujDa KHaraba bhi gulistan ho gaya
yas-o-naumidi ki chhai jab mere dil ki ghaTa
matla-e-ummid ko suraj numayan ho gaya
dam mohabbat ka bhara karta tha jo dil wasl mein
ab wo sham-e-hijr aate hi pasheman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.