dagh-e-dil gham ki tapish se yun sar-e-sham jale
dāġh-e-dil ġham kī tapish se yuuñ sar-e-shām jale
apnī nākāmī pe jaise koī nākām jale
un ke jalvoñ kī chamak hai ki dahakte sho.ale
dekhne vaale ye samjhe ki dar-o-bām jale
jūñhī saaqī ne mirī samt baḌhāyā sāġhar
mai-kade meñ ka.ī rindān-e-tahī-jām jale
yuuñ jalā kartā hai dil meñ tirī furqat kā charāġh
jaise turbat pe koī sham.a sar-e-shām jale
ahl-e-irfāñ ko parastār-e-mohabbat pā kar
ātish-e-rashk-o-hasad meñ ka.ī asnām jale
baat kahne kī nahīñ phir bhī kahe dete haiñ
ham tire ġham se kabhī sub.h kabhī shaam jale
dekh kar 'bāsit'-e-ḳhuddār-tabī.at tujh ko
kyā ta.ajjub hai agar gardish-e-ayyām jale
dagh-e-dil gham ki tapish se yun sar-e-sham jale
apni nakaami pe jaise koi nakaam jale
un ke jalwon ki chamak hai ki dahakte shoale
dekhne wale ye samjhe ki dar-o-baam jale
junhi saqi ne meri samt baDhaya saghar
mai-kade mein kai rindan-e-tahi-jam jale
yun jala karta hai dil mein teri furqat ka charagh
jaise turbat pe koi shama sar-e-sham jale
ahl-e-irfan ko parastar-e-mohabbat pa kar
aatish-e-rashk-o-hasad mein kai asnam jale
baat kahne ki nahin phir bhi kahe dete hain
hum tere gham se kabhi subh kabhi sham jale
dekh kar 'basit'-e-KHuddar-tabiat tujh ko
kya tajjub hai agar gardish-e-ayyam jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.