dagh-e-dil se mah-o-KHurshid ko nisbat kya hai
dāġh-e-dil se mah-o-ḳhurshīd ko nisbat kyā hai
sāmne aa.eñ to khul jaa.e haqīqat kyā hai
jo samajhtā hī nahīñ ramz-e-mohabbat kyā hai
dil use dete haiñ apnī bhī tabī'at kyā hai
tere dīvāne ko fikr-e-ġham-e-rāhat kyā hai
vo samajhtā hī nahīñ dozaḳh-o-jannat kyā hai
ban ga.ī har rag-e-jāñ rishta-e-sham’-e-sozāñ
nāsehā pūchh na soz-e-tap-e-furqat kyā hai
mar chuke dafn hue miT gayā turbat kā nishāñ
ab unheñ qabr pe aane kī zarūrat kyā hai
jab nazar aatā hai har chiiz meñ jalva terā
phir maiñ kyoñ pūchhūñ ki kasrat meñ ye vahdat kyā hai
sar-ba-ḳham ho ga.e ham dekhte hī ai qātil
tirī talvār bhī mehrāb-e-‘ibādat kyā hai
kabhī kā'ba meñ kabhī dair meñ dekhā tujh ko
ye batā de mujhe 'rāfat' tirī hasrat kyā hai
dagh-e-dil se mah-o-KHurshid ko nisbat kya hai
samne aaen to khul jae haqiqat kya hai
jo samajhta hi nahin ramz-e-mohabbat kya hai
dil use dete hain apni bhi tabi'at kya hai
tere diwane ko fikr-e-gham-e-rahat kya hai
wo samajhta hi nahin dozaKH-o-jannat kya hai
ban gai har rag-e-jaan rishta-e-sham’-e-sozan
naseha puchh na soz-e-tap-e-furqat kya hai
mar chuke dafn hue miT gaya turbat ka nishan
ab unhen qabr pe aane ki zarurat kya hai
jab nazar aata hai har chiz mein jalwa tera
phir main kyon puchhun ki kasrat mein ye wahdat kya hai
sar-ba-KHam ho gae hum dekhte hi ai qatil
teri talwar bhi mehrab-e-‘ibaadat kya hai
kabhi ka'ba mein kabhi dair mein dekha tujh ko
ye bata de mujhe 'rafat' teri hasrat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.