dagh-e-sina markaz-e-tanwir hai
dāġh-e-sīna markaz-e-tanvīr hai
dil kā chhālā chāñd kī tasvīr hai
zindagī kyā hai koī samjhā.e to
ḳhvāb hai yā ḳhvāb kī tā'bīr hai
chain se zindāñ meñ baiThe ab junūñ
paañv meñ chakkar nahīñ zanjīr hai
phūñk deñgī nafrateñ ghar aap kā
naam darvāze pe kyuuñ tahrīr hai
ghar kā ik naqsha banā letī hai roz
ye jo dil meñ hasrat-e-tā'mīr hai
ham amaañ paate the jis ke saa.e meñ
vo shajar ab dhuup kī tasvīr hai
kis ke vā'de par kareñ ham e'tibār
kis ke māthe pe vafā tahrīr hai
dagh-e-sina markaz-e-tanwir hai
dil ka chhaala chand ki taswir hai
zindagi kya hai koi samjhae to
KHwab hai ya KHwab ki ta'bir hai
chain se zindan mein baiThe ab junun
panw mein chakkar nahin zanjir hai
phunk dengi nafraten ghar aap ka
nam darwaze pe kyun tahrir hai
ghar ka ek naqsha bana leti hai roz
ye jo dil mein hasrat-e-ta'mir hai
hum aman pate the jis ke sae mein
wo shajar ab dhup ki taswir hai
kis ke wa'de par karen hum e'tibar
kis ke mathe pe wafa tahrir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.