dagh jo ab tak ayan hain wo bata kaise miTen
daaġh jo ab tak ayaañ haiñ vo batā kaise miTeñ
fāsle jo darmiyāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
ek muddat se diloñ meñ dard kī haiñ bastiyāñ
dard kī jo bastiyāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
raat bhar soyā nahīñ maiñ bas isī ik fikr meñ
an-sunī kuchh siskiyāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
kis tarah rishtoñ meñ aa.ī talḳhiyāñ ye phir kajī
be-sabab jo talḳhiyāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
sham.a kal jaltī rahī hai der tak is soch meñ
kuchh añdhere be-zabāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
jo purāne the gunah vo dho diye tū ne magar
ḳhuun ke taaza nishāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
maiñ ġhamoñ ke bādaloñ kī baat ab kartā nahīñ
ḳhauf ke jo āsmāñ haiñ vo batā kaise miTeñ
dagh jo ab tak ayan hain wo bata kaise miTen
fasle jo darmiyan hain wo bata kaise miTen
ek muddat se dilon mein dard ki hain bastiyan
dard ki jo bastiyan hain wo bata kaise miTen
raat bhar soya nahin main bas isi ek fikr mein
an-suni kuchh siskiyan hain wo bata kaise miTen
kis tarah rishton mein aai talKHiyan ye phir kaji
be-sabab jo talKHiyan hain wo bata kaise miTen
shama kal jalti rahi hai der tak is soch mein
kuchh andhere be-zaban hain wo bata kaise miTen
jo purane the gunah wo dho diye tu ne magar
KHun ke taza nishan hain wo bata kaise miTen
main ghamon ke baadalon ki baat ab karta nahin
KHauf ke jo aasman hain wo bata kaise miTen
- Book : Nai Kahkashan (Pg. 130)
- Author : Shivkumar Bilagrami
- Publication : Amrit Prakashan (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.