dagh wo sare dho sakta hai
daaġh vo saare dho saktā hai
ab bhī merā ho saktā hai
shāne lag ke hañsne vaalā
hañste hañste ro saktā hai
āñkheñ paḌhne vaalā sab kī
sach-much pāgal ho saktā hai
sab ke aañsū chunñe vaalā
nadiyoñ nadiyoñ ro saktā hai
siine lag ke rahne vaalā
aañkh jhapakte kho saktā hai
dekh ke mujh ko chehra phere
aisā kaise ho saktā hai
marte marte bachne vaalā
jhiil kināre so saktā hai
chehra pher ke jaane vaalā
ḳhud se nālāñ ho saktā hai
pyaar mohabbat karne vaalā
ruuh meñ kāñTe bo saktā hai
sab se Darne vaalā ik din
sach meñ bāġhī ho saktā hai
chāñd pe jaane vaalā insāñ
bail dubāra jo saktā hai
nagrī nagrī phirne vaalā
terā majnūñ ho saktā hai
dagh wo sare dho sakta hai
ab bhi mera ho sakta hai
shane lag ke hansne wala
hanste hanste ro sakta hai
aankhen paDhne wala sab ki
sach-much pagal ho sakta hai
sab ke aansu chunne wala
nadiyon nadiyon ro sakta hai
sine lag ke rahne wala
aankh jhapakte kho sakta hai
dekh ke mujh ko chehra phere
aisa kaise ho sakta hai
marte marte bachne wala
jhil kinare so sakta hai
chehra pher ke jaane wala
KHud se nalan ho sakta hai
pyar mohabbat karne wala
ruh mein kanTe bo sakta hai
sab se Darne wala ek din
sach mein baghi ho sakta hai
chand pe jaane wala insan
bail dubara jo sakta hai
nagri nagri phirne wala
tera majnun ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.