daimi hijraton ke beTe hain
dā.imī hijratoñ ke beTe haiñ
rāste jo gharoñ se nikle haiñ
ye zamīñ mar rahī hai andar se
titliyāñ phuul peḌ rote haiñ
baiTh kar sochte haiñ zillat meñ
ham vahī āsmān vaale haiñ
mauj-dar-mauj ḳhuun uchhlegā
in hī dariyāoñ se jo ujle haiñ
baT rahe haiñ ta.aam har jānib
phir bhī ham log kitne bhūke haiñ
tum ko mālūm hī nahīñ ham par
roz-o-shab jo azaab utre haiñ
har zamāne meñ mere jaise 'figār'
sirf do-chār log hote haiñ
daimi hijraton ke beTe hain
raste jo gharon se nikle hain
ye zamin mar rahi hai andar se
titliyan phul peD rote hain
baiTh kar sochte hain zillat mein
hum wahi aasman wale hain
mauj-dar-mauj KHun uchhlega
in hi dariyaon se jo ujle hain
baT rahe hain taam har jaanib
phir bhi hum log kitne bhuke hain
tum ko malum hi nahin hum par
roz-o-shab jo azab utre hain
har zamane mein mere jaise 'figar'
sirf do-chaar log hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.