dam-e-KHud-agahi mein zamana chhupa hua
dām-e-ḳhud-āgahī meñ zamāna chhupā huā
phailā huā daraḳht hai daana chhupā huā
bāzār ban gayā hai ḳhazāna chhupā huā
begāna rū-barū hai yagāna chhupā huā
pahlū meñ dil hai dil meñ taḌap hai taḌap meñ soz
kis soz-o-sāz meñ hai tarāna chhupā huā
yādash-ba-ḳhair dil nazar aatī hai vo nazar
nok-e-ḳhadang meñ hai nishāna chhupā huā
kab se 'zahīn' ġham meñ hai kā'ba siyāh-posh
kab se hai ghar meñ sāhab-e-ḳhāna chhupā huā
dam-e-KHud-agahi mein zamana chhupa hua
phaila hua daraKHt hai dana chhupa hua
bazar ban gaya hai KHazana chhupa hua
begana ru-baru hai yagana chhupa hua
pahlu mein dil hai dil mein taDap hai taDap mein soz
kis soz-o-saz mein hai tarana chhupa hua
yaadash-ba-KHair dil nazar aati hai wo nazar
nok-e-KHadang mein hai nishana chhupa hua
kab se 'zahin' gham mein hai ka'ba siyah-posh
kab se hai ghar mein sahab-e-KHana chhupa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.