daman bhar ujiyale the na
dāman bhar ujiyāle the nā
raat ne jugnū paale the nā
sikke merī qismat vaale
tum ne Thiik uchhāle the nā
ham to ḳhair divāne Thahre
tum to būjhne vaale the nā
dil meñ hashr kā 'ālam thā to
lab par zabt ke taale the nā
TuuT ga.e so baat alag hai
ḳhvāb bhī hurmat vaale the nā
chubhnā 'sāġhar' qismat Thahrī
aañkh meñ shīshe paale the nā
daman bhar ujiyale the na
raat ne jugnu pale the na
sikke meri qismat wale
tum ne Thik uchhaale the na
hum to KHair diwane Thahre
tum to bujhne wale the na
dil mein hashr ka 'alam tha to
lab par zabt ke tale the na
TuT gae so baat alag hai
KHwab bhi hurmat wale the na
chubhna 'saghar' qismat Thahri
aankh mein shishe pale the na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.