daman-e-chaak ko sine ka hunar rakhte hain
dāman-e-chāk ko siine kā hunar rakhte haiñ
haiñ jo ḳhāmosh qarīne kā hunar rakhte haiñ
garche ḳhālī hai tirī bazm meñ apnā ye ayāġh
ham magar aañkh se piine kā hunar rakhte haiñ
āsmānoñ se hamārī to kabhī ban na sakī
har sitam-zār meñ jiine kā hunar rakhte haiñ
thī amāvas kī ghanī raat magar āñkhoñ meñ
ashk-e-ḳhūñ apne nagīne kā hunar rakhte haiñ
soch kī lambī masāfat meñ Thahar kar ik pal
ḳhvāb jaise mai-o-mīne kā hunar rakhte haiñ
ik samundar ki jo gahrā hai abad kī mānind
dil ke sab raaz dafīne kā hunar rakhte haiñ
daman-e-chaak ko sine ka hunar rakhte hain
hain jo KHamosh qarine ka hunar rakhte hain
garche KHali hai teri bazm mein apna ye ayagh
hum magar aankh se pine ka hunar rakhte hain
aasmanon se hamari to kabhi ban na saki
har sitam-zar mein jine ka hunar rakhte hain
thi amawas ki ghani raat magar aankhon mein
ashk-e-KHun apne nagine ka hunar rakhte hain
soch ki lambi masafat mein Thahar kar ek pal
KHwab jaise mai-o-mine ka hunar rakhte hain
ek samundar ki jo gahra hai abad ki manind
dil ke sab raaz dafine ka hunar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.