daman-e-dil par nai gulkariyan karte raho
dāman-e-dil par na.ī gulkāriyāñ karte raho
zindagī se jang kī tayyāriyāñ karte raho
raat kaTne tak unheñ hamvār karne ke liye
apne andar roz nā-hamvāriyāñ karte raho
dushmanoñ se 'umr bhar apne nibhāo dushmanī
aur yāroñ se hamesha yāriyāñ karte raho
'ishq karnā zimmedārī hai natīja kuchh bhī ho
sirf puurī apnī zimmedāriyāñ karte raho
be-sabab marne se achchhā hai ki ho koī sabab
dosto cigarette piyo mai-ḳhvāriyāñ karte raho
'umr itnī kaT ga.ī hai aur bhī kaT jā.egī
dil-rubāoñ se yūñhī dildāriyāñ karte raho
khol do dil aur guzarne do havā-e-‘ishq ko
raakh meñ paidā na.ī chingāriyāñ karte raho
daman-e-dil par nai gulkariyan karte raho
zindagi se jang ki tayyariyan karte raho
raat kaTne tak unhen hamwar karne ke liye
apne andar roz na-hamwariyan karte raho
dushmanon se 'umr bhar apne nibhao dushmani
aur yaron se hamesha yariyan karte raho
'ishq karna zimmedari hai natija kuchh bhi ho
sirf puri apni zimmedariyan karte raho
be-sabab marne se achchha hai ki ho koi sabab
dosto cigarette piyo mai-KHwariyan karte raho
'umr itni kaT gai hai aur bhi kaT jaegi
dil-rubaon se yunhi dildariyan karte raho
khol do dil aur guzarne do hawa-e-‘ishq ko
rakh mein paida nai chingariyan karte raho
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 61)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.